last modified: Saturday, 5 November 2016

free hindi support

Google analytics par account kaise banakar website ko kaise add kare

Hello friend aaj mai aako bataunga ki kaise ham apne website ya blog ko google analytics par account banakar apne site ko add kar sakte hai.

dosto aap jab bhi koi kam karte hai to aapki yahi hope rahti hai ki hamane jo kam kiyaa hai wo kaisa hai log usko pasand kar rahe hai ya nahi .agar koi pasand kar raha hao to wo kyu kar raha hai ,agar koi pasand nahi kar raha hai to aakhir kyun nahi pasand kar raha hai usme kya kami rah gayi hai jisse log hamare kam ko pasand nahi kar rahe hai.aur ham us reason ko find karke usme sudhar kar sakte hai.




google analytics me account kaise banaye



aagar aap ek blogger hai to aap bhi yahi chahte honge ki hamare blog par visitor aa rahe hai ya nahi  agar aa rahe hai to aakhir kaha se aa rahe hai kis type ke visitor aa rahe hai  aur wo sabse jayada hamare website par kya padh rahe hai wo kaha se aa rahe hai aur aise bahut se sawalo ke jabae  hai jo aaapke man me aata hoga .
to google analytics ek usi trah ki tools hai .agar ham apne website ya blog ko search analytics me add kar dete hai to hamari sari problem ka solution mil jata hai.


to aayiye ham dekhte hai ki kaise apne site ko google analytics me add karte hai step by step.


Google search analytics kya hai?

google search analytics ek tools hai jisse ham apne website ki traffic ko trace kar sakte hai .ye ek google ki hi service hai jo  hame free provide karti hai.

is tools me apne website ko add karke apne website par hone wale activity ko dekh sakte hai yani hamare website par daily kitne pageview hai wo dekh sakte hai

google analytics me kya kya dekh sakte hai.

  • Apne website par aane wale visitor ko dekh sakte hai ki aapke site par visitor kaha se aa rahe hai.
  • visitor hamare website par jayada kya search karte hai.
  • visitor kitni der tak rukte hai.
  • aur utni der me wo kya chalate hai.
  • search engine  se kitne visitor  aate hai.
  • kaun se desh se kitne visitor aaye hai .
  • wo kaun sa keyword search karke hamare site par aaye hai.
  • kis page par sabs jayada traffic aata hai.
  • visitor hamare website ko sabse jayada kis par dekhte hai mobile par ya desktop par.
  • wo kaun sa opreating systum me chalate hai.
  • site par naye visitor kitne aaye hai aur purane visitor kitne aaye hai.



is trah se aap wo sare report jo aap dekhna chahte hai .ye hamare seo ke liye bhi fayedemand hai kyuki ye google ki service hai to ye uske liye aur bhi badhiya.

Google analytics me account kaise banaye

google analytics me apne wewbsite ko add karne ke liye google analytics ki site par jakar apne gmail id aur password dal kar login kare.

step.1:--

aap jaise hi login karenge .ek new page khulegi usme aap signup ki button par clik kare

step.2:-

jaise hi signup ki button par clik karenge to aapke samne ek form khulegi jisme aapko apne website ka name aur uski details bharni hai .
google analytics signup form

  • account name-aapko is option me aapko aapne account name fill karni hai .aap jis name se account banana chahte hai.
  • website name-isme apne website ka name dale jis name se apka website hai.
  • website url--isme apne website ka url yani apne website ka link add kare .
  •  industry category---isme drop down menu se apne website ka industery category select karni hai yani aapki website kis bare me hai.
  • reporting time zone--isme apne reporting time zone select kare india ka.
  • google product and service ,bench marking, technical support ,account specialist--in sab option ke samne jo box diya huya hai use tik kar de.
  • Get tracking id--ab aapni sari setting karne ke bad get tracking id par clik kare.

step.3:--

aap jaise hi get tracking id par clik karenge to ek pop window khulegi .
  1. apne countery ka name select kare .
  2.  i accept ki button par clik kare.



step.4:--

jaise hi i accept ki button par clik karenge waise hi ek new page me aapke account ka tracking id show honge.

google analytics tracking id

  1. tracking id ko copy kar le.ab is tracking id ko apne blogger blog me lagana hai.

analytics tracking id ko blog me kaise add kare

ab jo aapne upar tracking id ko copy kiya hai ab us code ko apne blog me add karna taki aapke blog ki visitor ki tracking hoti rahe aur aapko full details milti rahe aapke site ke bare me.

step.5:--

google tracking id paste kare

  1. apne blog ki setting option me jaye.
  2. ab aap other option par clik kare.
  3. analytic property web property id-- is option me upar  copu kiye huye code ko paste kar de.
  4. save setting --ab aapko save setting ki button par clik karna hai.jisse aapka tracking id save ho jayega.
ab aapka blog google search analytics se add ho jaya hai bas aapko 48 hours ke bad apne site par kitne visitor aa rahe hai uski details dekh sakte hai.

to ye thi hamari post jisme hamne ye bataya hai ki kaise ham apne website ko google analytics me add kar sakte hai account banakar.



to dosto aaj ki hamari ye post aapko kaisi lagi aap hamare comment box me bataye .

agar aapko koi sawal hai to hamare comment box me puch sakte hai.

ye post padhe:-


free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :