last modified: Saturday 10 June 2017

free hindi support

Seo Fiendly post Content Kaise likhe search traffic badhane ke liye puri jankari hindi me

hello dosto mai aapke samne fir se hajir hu ek naye artical ko lekar aaj mai aopne is artical me bataunga ki   ham seo friendly content  kaise likhe apne blog me.dosto search engine optimized post hamare blog ye website  ke liye bahut jaroori hai .
agar aapko search engine se traffic chahiye to aapko post content aisa likna hoga jise aapki post search engine me top par ya google searh me kam se kam top ten par to aana hi chahiye .kyuki aap jante hai ki koi bhi user ko agar kuch search karna hota hai to wo search engine kai madad leta hai .to jab aapka website ka post seo friendly hoga to aapka post bhi search engine me aayega ise aapka website ki visitor increase hoga.
seo friendly blog post content kaise likhe

seo content ka meaning hi hota hai aisa content jo search engine ke hisab se optimised ho .



dosto ham apne website ka seo do trah se karte hai usme se ek hota hai on page seo aur dusra hota hai off page seo 


to aaj ham janenge seo friendly content likhne ke bare me ye ek on page seo ka hi hissa hai. yani ham apne on page seo ki suruat content writing se hi hoti hai 

seo friendly content ya post kaise likhe ya on page seo kaise kare.

jaisa ki maine upar bataya ki on page seo ki suruat hoti hai aapke content writing writing se  to chaliye mai search engine friendly content likhne ki kuch tips deta hu jise aap apne post ko seo friendly bana sakte hai.

High Quality keyword selection.

keyword ek bahut hi importent hissa hai apne post ko likhne ke liye .jab bhi aap koi post likhne jaye to sabse pahle  aap jis topic par apne blog ka post likh rahe hai usse relared kuch long tail keyword select kar  le uske bad post likhna start kare.

keyword ka matlab hota hai waisa word jo google me search kiya jata hai ise ham search term bhi kahte hai. jaise aapne search engine me search kiya "seo kya hai" to ye ek keyword hua .



jab aap high quality keyword ko research karke apne post me dalkar post  likhte hai aur jab koi visitor google me aapke blog post ke keyword se related kuch bhi search karega to aapka post search engine me top par aayega.isse apka post seo friendly hoga.maine kuch best keyword research tools ke bare me maine pahle hi bataya hai aapko magar aap google ad-word keyword planner tools use kar sakte hai ye bilkul free hai aur ye ek google ki hi service hai.

 post content meaise bahut sare place jah apr apne selected keyword ko use karke apne post ko seo friendly bana sakte hai.niche maine kuch best palace diya hai jaha par apne keyword ko use kar sakte hai.

Seo Friendly post title likhe


apne blog post ki title seo friendly likhe kyuki jab bhi aap post likh kar publish karte hai to aapka post title se hi aapke conten ke bare me pata chalta hai ki apke post me kis trah ki artical hogi aur jab apki post search result me show hogi to koi bhi apke post title ko dekh kar hi apke post par clik karega .


post title ka matlab hota hai aapke post ka heading .apne post ka heading thora lamba hona chahiye yani aapke post title me kam se kam thirty five se seventy word hona chahiye. post title me apne primery keyword ko add kare matlab jo aapka main keyword jis topic par aap apne post likh rahe hai.search engine aapke post title ko jayada value deta hai.aap usme aise keyword use kare jo aapka main keyword ho.


Custom permalink use kare

permalink hamare post ka link hota hai yani hamare post ka url hota haiisse aap aise hi na chor de ise edit karna bahut jaroori hai

apne post ke liye custom permalink use kare ye ek bahut hi importent hissa hai hamare seo content ka ise aap edit karke apna main keyword ko permalink me use kare.apne permalink ko chhota aur simple rakhe .kyuki hamare post ke permalink me use huye keyword ko search engine jayada value deta hai.


 Post ke liye search description likhe

search description hamare post ke seo ke liye bahut jaroori hai lekin ye search description kya hota hai ye sawal jaroor aayega.

search description aapke post eke bare me  ek short description hota hai 160 word me .jab koi google me kuchh bhi search karta hai to yahi search description show hota hai jise padhkar visitor hamare blog ya website par visit karte hai .


search description aisa likhe ki koi bhi aapke post ke search description dekhakar ye samagh jaye ki is post me kya hoga .description me apne main keyword  and usse related keyword ko hi use kare ye search engine ke liye bahut jarioori hai kyuki jab search engine ka robot hamare post ko crawl karta hai to wo hamare post title aur seaarch description ko hi dekhta hai hamare post ko index karte hai.



post ke first paragraph me keyword use kare


aap apne post ke first aur last paragraph me main keyword and usse related keyword ko insert kare kyuki search engine hamare first paragraph me used kiye huye word ko hi dekhta hai .

first paragraph me two ya three keyword ko use kare iise jayada keyword ko use na kare         

copy paste na kare

kabhi bhi copy paste na kare .kahne ka matlab ye hai ki kabhi bhi apne blog post me kisi dusre ka content copy karke na dale.jab bhi apa koi post likhe to wo post aapka apna hona chahiye kyuki copy content ko google jaldi pakar leta hai   aur aapka acount bhi ban ho sakta hai.

to ye thi meri aaj ki artical jisme maine bataya hai ki apne blog post me seo friendly content kaise likhe.

ye aartical aapko kaisa laga hame jaroor batayega .agar aapka koi question hai to hamare comment box me puch sakte hai thanku........

aapko ye post bhi padhni chahiye:--

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

2 comments

Write comments
22 July 2017 at 06:29 delete

bahut accha likha hai aapne

Reply
avatar
Blogger
AUTHOR
4 November 2017 at 07:08 delete

Submit your blog or website now for appearing in Google and 300+ search engines!

Over 200,000 websites submitted!

Submit TODAY with I NEED HITS!!!

Reply
avatar