last modified: Friday, 18 November 2016

free hindi support

Google adsense Par click kitna payment karta hai full guide hindi me.

hello dosto aaj ham aapko batayenge ki google adsense hame  par clik kitna pay karta hai yani adsense hame ek clik ka kitna payment karta hai.

google ad-sense india ki sabse bari aur jayada pay karne wali ads network website hai jo hame apne website par ads lagane ka pay par clik ke hisab se paisa deta hai .aise to aap jab google par srarch karenge to bahut sare ads network site mill jayenge jis par sign up aur approval bahut aasan hai.
google adsense par clik kitna payment karta hai

par adsense me signup aur approval thora hard hai kyuki iske rules aur regulation yani terms and condition bahut hard hai .


agar aap googleadsense me signup karenge to aapke signup aur approval me lagbhag two   to three month ke karib lag sakte hai fir bhi log online paisa kamane ke liye google adsense hi select karte hai kyuki iski pay par clik high hota hai.


par jo new blogger hote hai  unko adsens ke cpc yani codt par clik ke bare me cu-fusion bani rahti hai  .to aaj ham bat karenge cpc ke bare me .

Google adsense par click kitna pay karta hai.



google adsense par clik kitna pay  ye bahut sare bato par depend karta hai to aayiye dekhte hai ki wo kaun sa matter hai jispar hamare clik depend karta hai. 

cpc yani cost par click.

adsense  hame pay par clik kitna karega ye hamare cpc yani cost par clik par depend karta hai.yani aapne jo ads apne website par lagaya hai uski value kitni hai.
adsense keyword value

aap jab keyword planner me koi keyword search karte hai to aapne dekha hoga ki right side  ke suggested bid me aapko us keyword ki value di huyi hogi  jaisa ki mere screen shot me dekh sate hai.



to is trah ki keyword ko agar apne post me use karte hai  yani is topic par agar koi post likhte hai aur usme ads lagane ke bad koi adsense ads par clik karta hai to adsense aapko par clik jayada pay karega.

man lo aapne 50 click se 3$ kamaye hai to aapki cpc hogi 0.06$ yani aapne ek clik se 0.06$ kamaya hai.

page rpm.

aapki adsense earning page rpm par bhi depend karta hai. page rpm ka matlab hota hai revenue par thousand impression yani  aap 1000 impression se kitna kama rahe hai.


man lo aapki page rpm  2$ hai to iska matlab hai ki aapke ads par agar 1000 view hote hai yani impression hote hai to aap 2$ earn kar sakte hai.aapki page rpm jitna jayada hoga aapki par click cost utni hi jayada hogi .



page rpm ko ek aur example se jante hai mann lo aapne 2000 pageview se  5$ kamaya hai to aapki page rpm hogi 2.5$.

page rpm =total earning/total pageview *1000

aage mai aapko puri details calculate karke bataunga ki aapki par clik cost kya hai.

CTR yani clik through rate .


adsense earning aapke ads ke clik par bhi depend karta hai .isko ham shortcut me ctr kahte hai aapki clik through rate jitni adhik hogi aapki adsense se kamai utni jayada hogi.


man lo  aapki ads par clik through rate 5% hai yani 100  page view par five log aise hai jo aapke ads par clik karte hai  aur apaki cpc .10$ yani ek ads clik ka aapk 0.10$ milta hai tio iss hisab se aapki earning 

0.10$*5=0.50$ aapki earning hogi.


ab ek aur example lete hai man lo aapki website par 1000 pageview huye hai aur us 1000 pageview me se aapki adsense ads par kewal 20 logo ne click kiya hai us hisab se aapki ctr yani click through rate hogi jo maine niche bataya huya hai.

20/1000*100=2 yani ki aapki ctr yani clik through rate 2% huyi.

visitor par.

aapki aapke visitor par bhi depend karta hai .aapke visitor jitna aapke site par jayada honge aapki earning jayada hogi .

aapke visitor par aapki cost par clik depend karta hai .agar  apke adsense ads par koi india se clik karta hai to uski cpc bahut hi kam hogi  kyuki india me adsense par click kam pay karta hai.

agar aapke visitor kisi aur country ke aapke ads par clik karte hai to uski cpc aapko jayada milegi  yani agar apke ads par clik canada, usa ya  ya aur kisi country se clik karte hai to aapko jayada earninhg hogi .

india me kam pay karne ka main reason ye hai ki india me log advertisement par rupaye ke hisab  ads par kam pay karte hai.
google adsense result india me

aayiye mai aapko yaha ek example se samajhta hu maine adword keyword planner me "google adsense"search kiya hai aur maine apni location ko  india select kiya hai to aap yaha par  aap suggested bid me dekh sakte hai ki iss keyword ki value kitni hai.
adsense value america me

ab ham chalte dusre step  me yaha maine same wohi keyword search kiya lekin maine ise country ko change karke usa kar diya hai to usa me usi keyword ki value kitna jayada hai.

aapne dekha ki same keyword ko agar india  me clik hota hai to uski valu kam hai lekin agar usa ya america me clik hota hai to uski value jayada hai

ab aapko samajh aa jaya hoga ki adsense hame par clik kitna pay karta hai hamri cost par clik kis cheezo par depend karta hai.

to dosto hamari aaj ki post aapko kaisi lagi hame jaroor bataye .agar aapko koi sawal pauchana hai to hamare comment box me puch sakte hai.

aapko ye post bhi padhni chahiye:--

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :