last modified: Monday, 1 May 2017

free hindi support

Google Ad-sense Account jaldi approve kaise kare best trics in hindi

    1 comment:

dosto online paisa kamane ke liye google adsense sabse best hai par google adsense account ko approve karna bahut hi muskil hota hai khas karke  jab aap india me ho kyuki iske rools yani ki niyam i bahut sakht hai.


jitne bhi blogger ya site owner hai wo sare adsense ke ads use karte hai kyuki jitne bhi ads network website hai un sabse adsense  par clik hame jayada deta hai.


google adsense ko jaldi approve kaise kare


adsense account ko apne site se approve karne ke liye aapka blog ya website six month old hona chahiye kyuki  six month se pahle aap apne site ko approve nahi kara sakte hai.


agar aapne website ko six month se pahle aapne account ko approve karna chahte hai to aapko uske liya custom domain lena parega aur aapke website par daily pageview kamse kam 500 pageview hone chahiye tabhi aapka account approve hone ke chance hote hai.


magar ham aaj ham kuch aise trics ke bare me batayenge jisse aap apne adsense acount ko six month se pahle hi approve kara sakte hai to aayiye jante hai ki wo trics kya hai.

google adsense kya hai?

adsense account ko approve karne ke pahle mai aapko bata du ki ye google adsense kya hai.

dosto adsense ek pay par clik website hai jiska ads ham apne website par laga ke ise online money earn kar sake hai. ye ek google ki service hai jo hame paise kamane ke liye hota hai.

sabse pahle hame iss site par account banana hota hai .aur ise approve karana hota hi .

google adsense ko jaldi approve kaise kare.

google adsense ko jaldi approve karne ke liye niche maine kuch step diye huye hai .aap inko follow karke adsense account jaldi approve kar sakte hai.

website par high quality content likhe.

agar aap apne website par apne apne adsense ke ads lagana chahte hai to uske liye aapko aapne blog ya website par high quality post content likhna hoga .

high quality content ka matlab hota hai waise content jo kisi aur ke website par nahi ho matlab aapke website par unique content hone chahiye.

aapke blog par kam se kam 500 pageview daily hone chahiye  .


youtube chhanel aur video banaye.

sabse pahle aapna ek youtube channel banaye aur use verify kare.ab aap apne youtube channel par kuchh khud ka banaya hua video upload kare dhayan rahe ki wo video aapke apne banaye huye hone chahiye kisi dusre ka video copy karke upload nahi karna hai nahi to account approve nahi hoga.

jab aapke chhanel par 3000 ke aas pas view ho jaye to use ads ke liye menotize kare.jisse aapke video par ads show hone lagega par aapki earning nahi hoga.usse earning  karne ke liye aapko adsense account se connect karna hoga.


youtube video ko menotize kare  aur adsense se connect kare


1.step:-

youtube video ko menotize kare aur uske bad adsense account se connect kare
youtube video ko menotize karne ke liye aapko  ye prosses karna parega.
my channel par clik kare>>menotization par clik kare>> enable menotization par clik kare>>next page par teeno par tic karke >>i accept par clik kar de.




aab aap dekhenge ki aapke video maneger me video ke samne $ doller ka green nisan aa jaya hai iska matlab hai ki aapka video menotize ho gaya hai. yani ab aapke video par ads show hone lagege.

ab aapne apne video ko adsense ads ke liye menotize kar diya hai .ab aapko adsense account se connect karna hai.

2.step:--
ab aapko apne website ko adsense se connect karna hai.

sabse pahle my channel par clik kare>>status and feature par clik kare.


ab right side ke menotization option me aapko view menotization setting par clik karna hai>>next par clik kare>>language select kare>> continue par clik kare>> ab next page me jo form ayega usme sahi sahi bharne ke bad submit my application par clik kare.


to lijiye ab aapne adsense account ke liye apply kar diya hai youtube ke madhayam se ab aap kuch din yani two ya three day wait kare  ya ho sakata hai ki aapka adsense account kuchh ghante me approve ho jaye .approve hote hi aapke email adress par ek mail aa jayega jise bataya jayega ki aapka account approve ho jaya hai.ab next step me chalte hai.


website se adsense account fully approve kare.



upar  aapne jo account approve karwaya hai wo aaapka hosted account approve huya hai kahne ka matlab ye hai ki adsense ke ads bas youtube  par hi show honge aap website par use nahi laga sakte hai wo sirf youtube ke kiye hai.

to yaha aapko apne website ke liye adsense account banana hai to uske liya aapke site par minimum ke daily pageview 500 hone chahiye jab aapke site par minimum pageview ho jaye to fully adsense account approvel ke liye apply kare.uske liye niche likhe huye step ko follow kare.

step1:--

  1. sabse pahle www.adsense.com ki site par jakar login kare.
  2. waha par aap dekhenge ki HOSTED ACCOUNT likha hua hai.
  3. ab aap setting ke gear icon par clik kare.
  4. ab ek new window par" access and authorization" par clik kare.
  5. ab ek new window khulegi jisme apne website ka url inter karna hai.
  6. ab submit button par clik kar de.
step.2:--

  1. ab aap my ads par clik kare.
  2. new ad unit par clik karke ads code banaye.
  3. ab us ads code ko copy karke apne blog ke page me ya main widget me add kare.

aapke blog par jo code lagaya hai usme ads show nahi honge .google adsense aapke website ko review karegi uske bad  karib one weak ke bad aapke email par ek mail aayeg ajisme aapke adsense account ka fully approval ka message hoga.iska matlab aapka adsense account fully approve ho jaya hai.aur ab aapke site par ads show hone lagega.

to thi hamari post jisme maine bataya hai ki google adsense account ko jaldi approve kaise kare .aapko ye post kaisa laga hame jaroor bataye. agar aapka koi sawal hai to hamare comment box me jaroor puch sakte hai..

ye post padhe:-

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

1 comments:

Write comments
Blogger
AUTHOR
21 November 2017 at 13:04 delete

Just received my check for over $500.

Sometimes people don't believe me when I tell them about how much you can get filling out paid surveys online...

So I show them a video of myself actually getting paid over $500 for participating in paid surveys to set the record straight once and for all.

Reply
avatar