hello friend pichli post me maine bataya tah ki youtube par chhanel bana kar us channel par video kaise upload karte hai.aur aaj mai aapko bataunga ki youtube video ko well seo optimize kaise kare.
dosto jo video aapne upload kiya hai uska main reason ye hai ki aapka video lakho karoro log tak pahunche yani lakho log us video ko dekhe.par kaise kya lakho logo ko aapke video ke bare me pata hai? to aapka answer hoga ,naaa..
to kaise ham us video ko lakho logo tak pahucha sakte hai ? .to iska ek solution hai ham kuch aise youtube seo tips ke bare me jane jisse ye well seo optimize ho sake .
kahne ka matlab hai ki aapko koi video dekhna hota hai to ya to aap google ya fir youtube me search karenge.
to aapko kuch aise technique use karenge jisse aapka video bhi search me aayega to aayie mai aapko kuch aise youtube seo tips ke bare me jante hai .
YouTube seo tips -apne YouTube videos ko search me lane ke liye
apne youtube video ko search ke top result me lane ke liye aapko kuch tips ko use karna chahiye jo maine niche bataya hua hai.
1.youtube video ke liye keyword research kare
video seo ka main suruat hoti hai us video ke liye ek high quality keyword selection se .keyword ek aisa word hai jo ham google ya youtube me search karte hai.jaise maine youtube me search kiya "mata rani ke bhajan video" to ye ek trah ka keyword hua.
youtube me video upload karne se pahle ya fir upload kiye huye video ko optimise karne ke liye us video se related keyword select kare.
video ke liye keyword select karne ke liye aap google keyword planner tools use kar sakte hai.
aap simple keyword planner tools me jakar apne video se related keyword yani jis topic par aapka video hai aayiye ek example se samajhte hai .
upar ke screen shot dekh sakte hai.man lo hamara video koi youtube seo tips ke bare me hai .to maine ye search kiya hai to isse related keyword bhi show hogaye hai aap isme se koi bi keyword select kar sakte hai.
ab is keyword ko kaha par use karna hai mai aapko niche bata raha hu.
2.youtube video ke title me keyword use kare
video ka title ka matlab hota hai us video ka name .agar aap video ko upload karte hai koi name jaroor de .us name me apne main keyword ko use kare.
isse hoga ye ki jab aapke video title se related video ko log youtube me search karenge to aapka video bhi search me aayega jisse aapke video par view badhenge.
dhayan rahe ki aapke youtube video ke title jayada long na ho aur aap jo keyword ko use karenge usme keyword ko video title ke suru me yani bigin me hi rakhe isse aapka video search me aane ke chances badh jate hai.
3.youtube video meta description ad kare seo ke liye
aapne video ke description section me aapne video ke bare me bataye ki aapka video kis bare me .video ka description thora long rakhe .
aap apne video ke desription me apne socail site ka link bhi add kar sakte hai aapne video ke description me apne main keyword ko use kare .magar ye dhayan rakhe ki aapke target keyword suriu ke three to four line me hi use kare.
4.video ka tag add kare
aap apne video se related tags add kare .jab aap apne video ko upload karte hai to niche ke side me ek tag ka option hota hai.tag use karne se aapke video suggested me show ho sakta hai .jab aap koi video dekhte hai to aapne dekha hoga ki aapke screen ke right side me kuch video show ho rahe hai.isse suggested video kahte hai.
tag ka matlab hota hai category yani tag use karne ka main fayada hota hai ki jab aapke video se related agar koi video dekh raha hai to side bar me aapka video bhi show hoga jisse aapke video par bhi clik ho sakta hai.
aap is tag option me apne main keyword se related keyword use kar sakte haidhayan rahe ki aapke video se related tags hi use karna hai.aap 8 se10 tag use kar sakte hai.
5.Video ka image attractive rakhe
aapne video ko atractive rakhe .kyuki koi bhi viditor aapke video ko dekh kar hi aapke video par clik karta hai.agar aapki video attractive nahi hogi to koi bhi aapke video par clik nahi karega.
video ko attractive banane ke liye aap custom image bhi use kar saakte hai .aapne dekha hoga video upload karte time ki puri video upload hone par three image show hote hai .aap chahe to in teeno me se kidi par bhi clik karke upload kar sakte hai.ya fir thik uske side me custom image ka option hota hai us par clik karke apne custom image upload kar sakte hai.
6.social media par share kare
socail media jaise facebook ,twitter, par aapne video ko share karke aapne visitor badhaye.kyuki aapke video ko jitna jayada log dekhenge aapke video ki ranking utni hi improve hogi.
apne chhanel se related ek group ya page banaye ya fir jis group me aap pahle se hai us group me video ko share kare.
to dosto ye hamari post youtube seo tips ke bare me kaisa laga jaroor bataye koi sawal ho to hamare comment box me puch sakte hai.
ye post bhi padhe:--
1 comments:
Write commentsAre you looking for free Facebook Likes?
ReplyDid you know you can get them ON AUTO-PILOT AND ABSOLUTELY FOR FREE by registering on Add Me Fast?