last modified: Saturday 10 June 2017

free hindi support

BLOGGER POST EDITOR KI PURI DETAILS HINDI ME

hello blogger aaj mai blogger post editor ke bare me bataunga  puri details me, ki post editor kya hota hai aur isme jo tools hote hai uska kya kam hota hai.agar aapka blog hoga ya fir aap new blogger hai to ye aartical aapke liye bahoot jaroori hai.jab aap post likhte   hai  apne post editor me  to aap dekhte honge ki editor ke aas pas aise bahut sare formatting  toolbar hote hai jise aap apne post ko formatting kar sakte hai .to aayiye jante hai puri details me.



blogger post editor ki details



post editor ka main part 



post editor ka main part



sabse pahle ham jante hai ki blogger post editor ka main part kaya hota hai?.


post editor ka main part hota hai post ka title aur   text editor area ya body jisme ham apna post likhte hai.

also read:-


1.title:-post editor ka main part hota hai title isme ham apne post ka title  dete hai jise aapka post ka title ko dekh ke samagh jaye ki aapke post ke andar kya hai.jaisa ki newspaper me hota hai.post title ko ham 160 sabdo me de sakte hai ye aap ke post ke liye heading hota hai.

2.text editor area ya body:-isme ham aapna post likhte hai matlab ye aapke post editor ka body hota hai.


blogger editor ke tools



blogger editor ke tools


1.compose/html:-jab ham post likhte hai post editor me wo compose view me likhte hai.html view me ham html code ko add karte hai html option par clik karke.
post compose free Hindi support

2.Undo/Redo:-is button ki madad se ham jo bhi post me likhte hai ya karte hai is button se ham ek step back yea ek step aage ja sakte hai.

3.Font:-iss button ki madad se ham font  ka style change kar sakte hai.matlab aap koi sa bhi option select kar post likh sakte hai.
post editor font tools

4.Font size:-iss button ki madad se aap apne font ka size change kar sakte hai.yani small,large, largest.etc.
post editor text formating

5.format ka button:-is button ki madad se ham text ko format kar sakte hai yani kisi bhi word ko heading ,subheading me badal sakte hai.
blogger editor heading

6.Bold(B):-ise ham kisi bhi word ko bold kar sakte hai.jaise for example free Hindi support.

7.italic(I):-is button se kisi bhi word ki italic kar sakte hai.for example:free Hindi support.
8:underline(U):-ise ham post ke word ko underline ya word ke niche lakir khich sakte hai.

9.strikethrough (ABC):-is button ki madad  se ham kisi word ko bich se cut kar sakte hai.

10.Text color:-is ki madad se ham text ki colour ko change kar sakte hai.

11.background color:-is ki madad se ham kisi word ke background ke color ko change kar sakte hai.

12.Add or remove link:-iski madad se ham apne blogger post me link add kar sakte hai ya usko remove bhi kar sakte hai.

13.Insert image:-is button ki madad se ham apne blog me koi bhi image ya photo  upload kar sakte hai.

14.Insert a video :-iski madad se ham vdeo upload kar sakte hai apne blog post me.

15.insert jump break :-ye jump beak ka button hota hai iski madad se ham post ke word ko break kar sakte hai matlab agar aap chahte hai ki hamara jo post hai usme se kuchh hissa hi show kare hamare home page par to wo page break ki madad se kar sakte hai.

also read:-



16.Alignment :-iss buttton ki madad se ham apne post ka alignment set kar sakte hai.matlab apne post ke word ko ham left ,right,ya center me adjust kar sakte hai.

17. Numbered list:-is button ke option se ham post me numbered list bana sakte hai.

18.Bullet list:-ye same numbered lisy jaisa hi hai yani isse ham bullet list bana sakte hai.

19.Quote:-iski madad se ham kisi khas words ko apne post me show kar sakte hai.

20.remove formatting :-iski madad se ham apne sare formating ko remove kar sakte hai for example:bold,color, link etc.

21.Check spelling :-ise ham apne pure blog post ki spelling chek karte hai.matlab jo word ki spelling galat hoti hai usko chek karte hai.

22.translitreate words typed  phonetically in English script :-iski madad se ham blogger post editor  ki bhasha ko change kar sakte hai yani koi bhi bhasha me likh sakte hai English typing ke dawra   jab aap english type karenge to wo aapke chune huye bhasha me change ho jayega.

22.left to right /right to left:-iski madad se aap apne post editor ki direction change jkar sakte hai yani left to right ya right to left.

blogger post ke liye option



1.labels:-ye blogger post editor ka sabse importent option hai iski madad se ham apne blog post ke liye labels ya  category add kar sakte hai jise hamara post alag alag category me dikhai de jaise hamare visitor ko post padhne me aasani ho.

2.Schedule:-ye post ko schedule ke liye hota hai yani agar aap koi post ko kisi proper time me publish karna chahte hai to iske dwara date set kar sakte hai.

3.Permalink:-ye bhi post ka sabse important option hota hai iski madad se ham apne post ka permalink  ya url change kar sakte hai ya usko ham costomise kar sakte hai. 

4.Location :-iski madad se ham apna location set kar sakte hai jaise trajsthan ,bangal,kolkata etc.

5.Search description:-ye option bhi post editor ka sabse khas option hota hai.iss option ki madad se ham apne post ke bare me 160 sabdo me description likhte hai hai ye bahut hi jaroori hota hai seo ke liye.jab aapka post koi  social media par share karta hai to yahi description dikhai deta hai.

6.option:-ye option hote hai ki hamare post me comment allow ho ka nahi!.


post ke liye last button 



1.publish:-iski madad se ham apni post  ko puri likhne ke bad publish karte hai jisse hamra post hamare home page par dikhai deta hai.

2.Save:-iski madad se ham apne post ko draft me save kar sakte hai .agar aap apne post ko puplish nahi karte hai to ye save rahti hai aur isme aap kuch aur add kar sakte hai.

also read:-



3.preview :-iski madad sse aap apne post ka preview dekh sakte hai publish karne se pahle ki aapka post kaisa hai aur isme kya kami hai  aur usko sudhar sakte hai.

4.Close:-iski madd se ham apne post editor ko close kar sakte hai.

to aap blogger post editor aur iske tools ke  bare me jan gaye honge ki kis tools ka kya kam hota hai puri details ke saath .agar aapka koi Question hai to hamare comment box me puchh sakte hai.
aapko meri ye post kaisi lagi  aap hamre comment box me jaroor bataye agar aapko meri post pasnd ayi ho to use share karna na bhule.


free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :