last modified: Saturday 10 June 2017

free hindi support

Youtube Par video upload kaise kare puri jankari hindi me

hello dosto mai aaj iss artical me bataunga ki youtube par video upload kaise karte hai.

youtube ek aisa site jaha par karoro log video dekhte hai magar kya aapko pata hai ki ye video kaha se aata hai.to chaliye mai aapko batata hu dosto ye video jo ham dekhte hai wo ham ya aap me se koi upload karta hai .

magar koi bhi ye video upload kyu karta hai ? ye question jaroor aaraha hoga .dosto youtube par video ya to log sok se karte hai ya fir us video se paisa kamane ke liye karte hai ji ha aap youtube video se paisa bhi earn kar sakte hai.iske bare me aapko aage wali post me puri details ke sath bataunga .filhal aaj mai bataunga ki ham vide kaise upload karte hai.



dosto youtube par video ko upload karne ke liye aapko youtube me ek youtube chhanel banana hoga jo ki free me bana sakte hai.sabse pahle aap youtube.com ki site par jaye waha par home page me "sign in"ka option hoga us par clik karke apne gmail account se login kare.

youtube par video upload kaise kare step by step

to dosto mai ye man ke chalta hu ki aapne youtube chhanel bana li hai.to chaliye dekhte hai ki ham youtube par video ko upload kaise karte hai step by step.

youtube par video kaise upload kare.step by step



step 1:--

sabse pahle aap www.youtube.com ki site ko apne browser me open kare.uske bad sign in ki button par clik kare uske bad apne gmail id and password dal kar login kare .ab aap youtube ke home page par pahuch jayenge.
youtube ke my channel option par clik kare

ab aap left side me ek option hoga my Chanel ka uspar clik kare clik karte hi aap apne chhanel par aa jayenge.

step 2:--
youtube upload ki button par clik kare

ab aapke left site ke top par upload ka button hoga uspar click kare.clik karte hi video vpload ka option khul jayega.

step 3:--


video upload ke liye option


1-ab aap select file to uplod ki button par clik kare.uske bad aapka computer ke ander jo video hai uski file khul jayega .ab apne video ko select kare.video select karte hi video upload hona start ho jayega.

apne video ko mouse se drage karke bhi upload kare sakte hai .

2-- ye option photo slide banane ke liye hota hai.agar aapke pas photos hai aur aap uske slide show banana chahte hai to is tools ka use kar sakte hai.

3--third option hota hai video editor ka .is option me aap chahe to apne video ko edit kar sakte hai jaise cutting mixing .

magar apne video upload karne ke liye aapko first option par clik karna hai  yani upload button par clik karna hai .

step 3:--




youtube me video uplod karne ki function


  1. is option me aap dekh sakte hai ki aapke video kitne percent upload hua hai .jab ye puri trah upload ho jayega to ye prosses hota hai.
  2. is option me aap apne video ka name de sakte hai.yani koi bhi vide ka title likh sakte hai.
  3. third option hota hai description ka yani jo video aap upload kar rahe hai wo kis bare me hai.
  4. fourth option hota hai tag ka .isme apne video ka tag dalna hai yani category add karna hai jaise agar aapka video me koi songs hai ya tech video hai  ya blogging video hai to tag hoga ,blogging,seo,template etc isme aap keyword ko use kar sakte hai
  5. fifth option hota hai thumbnail ka jab aapka video puri trah upload ho jayega to vide ka three photo show honge aap teeno me se koi bhi image ko select kar sakte hai .yahi image aapke video par show hoga.
  6. ye option publish ka option hota hai.yani jab aap apne video me puri setting kar lene ke bad apne video ko publish kar sakte hai .iske bad aapka video youtube par live ho jayega.
  7. is option ki madad se apne video ko public, private, ya phir unlisted kar sakte hai.lekin mera ye suggestion hai ki ise public hi rahne de kyuki aap video ko puri duniya ko dikhane hai
  8. is option par tic karke aap apne video ko google+ ,twitter par automatically share jkar sakte hai.
  9. isme agar aap chahe to apne video ko ek playlist bana kar usme add kar sakte hai.
  10. yaha se chahe to direct apne video manager me ja sakte hai.
  11. agar aap anathor video ko upload karna chahte hai to yaha se upload kar sakte hai 




sari setting karne ke bad "publish"button par clik kar de.aapke publish karte hi aapka video karoro logo tak pahuch jayega.


to dosto aap jan gaye honge ki yourube video ko kaise upload karte hai agar aapko koi step samajh nahi aarahi hai to aap hamare comment box me puch sakte hai.

agar aapko hamara ye post achha laga ho to ise share karna na bhoole thanku for reading.....

ye post bhi padhe:--

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

5 comments

Write comments
Rikki Singh
AUTHOR
18 July 2017 at 09:25 delete

YouTube par 10000 Views kaise laen jisse Monetization Enable ho jae

Reply
avatar
19 July 2017 at 10:01 delete

menotisation enable hone ke liye ye jaroori nahi hai ki aapke video par 10000 view ho.aapke channel par agar 2000view bhi ho to menotization enable ho jata hai .

Reply
avatar
Asad
AUTHOR
17 August 2017 at 06:21 delete

Very nice information bro…!! Thnxx to share

Reply
avatar
Abhishek
AUTHOR
1 September 2020 at 00:11 delete This comment has been removed by the author.
avatar