last modified: Tuesday 27 July 2021

free hindi support

Sneaky redirect kya hota hai blogger me aur ise kaise remove ya solve kare puri jankari hindi me.

hello dosto aap jante honge ki blogger ek google ki service hota hai aur ye bilkul free hota hai.jab bhi aap koi blog banate hai to jab aap new hote hai to bahut sare problem ko face karna parta hai for example :-seo ,search engine se related  ya fir aapke blog me virus ho jaye to aapka website search engine me show nahi hota hai to aapko bahut nirasha hoti hai.


cloaking and sneaky redirect kya hai ise kaise solve kare

to usme se ek hota  hai cloaking and sneaky redirect jisse hamara website search engine me show nahi karta hai .is trah ke problem me hamare website ka url kisi dusre url par redirect ho jata hai .aaj ham details me janege ki ye sneaky redirect kya hai ?


to ye sari problem ko ham janane ke liye  apne site ko google search console me add karte hai taki hamare website me koi bhi problem ho to hame pata chal jaye aur apne site se related problem ko remove kar sake .

sneaky redirect kya hai?

jaisa ki maine upar bataya hai ki cloaking and sneaky redirect ek trah ka problem hai jisse hamare website search engine me show karna band kar deta hai.

jab aapke website ka url https me hota hai .aur apne post ke content ke  html code me koi http wala url dalte hai to is trah ka problem ho jata hai.

is trah ke problem me jab aap apane site ko desktop me kholege to aapke blog ka url same hoga ,par agar aap apne site ko mobile par kholenge to aapke website ka url different  hoga ise ham mobile redirect bhi kahte hai.

jab search engine ka spider hamare website ko crawl karta hai to ,two different url show hota hai jisse hamara website search engine me dikhayi dena band kar deta hai.


blog banane ka aapka main maksad hota hai paise kamana  to uske liye ads network website ke code ko use karte hai ,to kuch ads network website ke code ke url bina https ke hote hai jab yahi url apne post content ke code me dalte hai ti sneaky redirect ki problem create hoti hai.

sneaky redirect ko kaise remove kare?

agar aap bhi is trah ke redirect ki wajah se aapki website ko google ne penalize kar diya hai to ise remove karna bahut zaroori hai.


sabse pahle apne website ko google search console me add kare  .agar aapne apne website ko pahle hi ad kiya hua hai to search console me  login kare.aap dekhege ki google se ek message aya hoga us message par clik kare to aap dekhenge ki , kis karan se aapka website redirect ho jaya hai.

uske bad apne website ke content ke html code me se jitne bhi ads code hai un sabko post me se hata de.code ko remove karne ke bad search console me login kare.

dusra option hai ki jab aap search console me login karenge uske bad right side me
 "search traffic " option par clik kare uske bad >>manual action par clik kare>> manual action par clik karte hi reconsideration request ka option hoga.>>usme apna message likhne ke bad "submit "button par clik kare .ab aapka consideration request submit ho jaya hai .



google aap ki website ko dobara review karega .aur site ko dubara index karega is process ko karne me one se two week tak lag sakta hai.


par agar aap chahte hai ki apke website ko google jaldi review kare to ise manually bhi kar sakte hai.

fetch as google use kare sneaky redirect revievew ke liye.



search console me ek aisa tools hota hai jise use karke aap apne site ko jaldi re index kara sakte hai jisse aap apne reconsideration  request ko jaldi approve kara sakte hai .

console me login karne ke bad .
>>>crawl option par clik kare.
>>>uske bad fetch as google option par clik kare.
>>>uske bad FETCH option par clik kare.
>>>submit url and its direct links par clik kare.


aap yahi tarika har do din me kare aapka site jaldi review hoga .to meri ye jankari kaisi lagi hame jaroor bataye.

dosto agar aap ki koi bhi problem ho sneaky redirect ko remove karne me to hamare comment box me jaroor puch sakte hai.agar aapko meri ye post pasand aayi ho to ise share karna na bhule .ya phir koi sujhav ho to hame jarur bataye.

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

3 comments

Write comments
Aman
AUTHOR
17 September 2016 at 13:43 delete

Bhai bahot achi tarah samjhaya...mai aapko ye puchna chahta hu ki bhai fetch to google option mai meri website bhi daal sakta hu kya jaise meri website hai www.onlinehelpinhindi.in kyuiki mujhe bhi yehi problem face karni pad rahi hai bhai...google team ko feedback bhajhe hue bhi lagbhag 8 din ho gaye hai aur koi reply nhi aaya abhi tak..

Reply
avatar
20 September 2016 at 22:53 delete

aap fetch as google karte rahiye apne ads ke sare code ko remove karke.....aur fetch ke box ko blank karte hai ti apke website ka home page hi fetch hoga

Reply
avatar
Blog27999
AUTHOR
3 March 2020 at 14:50 delete

If you're trying hard to lose weight then you absolutely need to start following this totally brand new custom keto plan.

To create this keto diet, certified nutritionists, fitness couches, and professional chefs united to produce keto meal plans that are efficient, painless, cost-efficient, and delightful.

Since their launch in early 2019, 1000's of individuals have already completely transformed their body and well-being with the benefits a great keto plan can provide.

Speaking of benefits: clicking this link, you'll discover eight scientifically-tested ones given by the keto plan.

Reply
avatar