last modified: Saturday 10 June 2017

free hindi support

BLOG ME CUSTOM TEMPLATE KAISE UPLOAD KARE

hello dosto aaj ham janege ki ham apna custom template kaise upload karte hai blogger blog  me ya apna blogger template kaise change kare.hamne blog to bana liya blogger par .aur usme post bhi dalna sikh lia.


custom template kaise upload kare blog me




waise to blogger hame bahut sare template free deta hai .par wo jo template hota hai wo purana hota hai aur bahut hi simple hota hai.to ham ek custom template download karte hai jo seo friendly aur mobile friendly ho.aur use ham aapne blog par upload karte hai.ye hamare seo ke liye bahoot jaroori hai.

also read:-





kyuki jo bhi ham post dalte hai aapne blog par uska main maksad hota hai ki visitor hamare site par visit kare  to wo visit tabhi karega jab wo mera site search engine me show hoga yani dikhega.to search engine me dikhne ke liye aapka blog ka jo template hai wo search engine me search hona chahye yani aapke blog ka  template search engine friendly hona chahiye.


also read:-


aapke blog ka template mobile friendly bhi hona chahiye matlab mobile me bhi aasani se khulna chahiye.kyoki aajkal jayada log mobile se hi net use karte hai.agar hamara template mobile friendly nahi hoga to hamara blog mobile logo ko dekhne me dikkat hogi  to wo kisi other blog pe jayega jo mobile friendly ho.
hamra jo template hai wo well designed hona chahiye kyuki agar hamare blog ka template designed hoga to hamare blog ka look bhi achha hoga jisse jayada visitor impress honge.
to chaliye jante hai kaise ham apna custom template upload karte hai aapne blog me.


blog me template upload kaise kare


step:1-


sabse pahle aap apna custom template download kare .aise bahut website hai jaha se ham apne template download kar sakte hai isme se kuch to paise se aur kuch free hota hai.aap apna template soratemplete.com se download kar sakte hai.jo ham template download karte hai wo winrar- zip  file me hoti hai  usko ham xml format me convert karte hai. kyuki jo ham templete upload karte hai wo xml file me honi chahiye tabhi upload hoga.aap  file ko unziponline.com par xml format me change kar sakte hai.

step:-2-


blogger me custom templete upload kare
Add caption



A:----ab aap apne blog ke dashboard me jaye. ab aap apne templete button pe clik kare clik karte hi ab aapke samne next screen aayega usme left side me


B--backup/restore-- ka button aayega aap uspe clik karke aap apne current templete download  kar ke save kar le .kyuki agar man lo  aap jo templete upload kar rahe ho kisi karan support na kare to aap apna purana wala templete  dubara upload kar sake.

blogger me custom templete upload kare


C:--choose file--ab aap apne templete ka file select kare apne computer me se chccse file button select karke templete ka xml file   jo aapne abhi download kia hai wo select kare.

custom template upload

D:--upload--aab aap apne upload ki button par clik kar de .


E:--close-- ab last me close ki button par clik kar de .to lijiye ab aapka custome templete upload ho gaya hai .ab aap apne blog ko ek naye look me dekhe .





 ap log jan gaye honge ki blogger me custom template kaise upload kare .to dosto aapko mera ye post kaisa laga jaroor batayega .agar aapka koi swall hai to aap mere comment box me pucch sakte hai.

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

1 comments:

Write comments
Blogger
AUTHOR
8 February 2017 at 00:29 delete

On EasyHits4U you can earn free advertising credits by viewing other ads from a user base of over 1.2 million accounts. Earn credits faster with a 1:1 Exchange Ratio.

Reply
avatar