last modified: Saturday 10 June 2017

free hindi support

Top 5 mobile friendly test tools :chek karne ke liye ki aapka website mobile friendly hai ya nahi.

hello dosto aaj mai aapko kuch aise website cheking tools ke bare me bataunga jisse aap apne website ko chek kar sakte hai ki aapka website ya blog mobile friendly hai ya nahi jise ham website testing kahte hai .

top 5 tools website ko mobile friendly chek karne ke liye


dosto agar aap ek blogger hai to aapka  website mobile optimised hona bahut jaroori hai .aur ye hamare site seo ke liye bhi bahut jaroori hai.


aaj kal jitne bhi log hai usme se jayadatar log internet chalane ke liye mobile ko hi select karte hai.matlab sidhe bhasha me kah sakte hai ki jayada log mobile se hi internet use karte hai.to jab aapka website ya blog mobile friendly nahi hoga to mobile se internet chalane wale jitne bhi user hai wo aapke website par nahi aayenge jisse aapka seo raking kam ho jayega.


to uske liye hame aise tools ki jaroorat paregi ki jisse ham ye pata kar paye ki hamne jo site banayi hai wo mobile ke liye optimised hai ya nahi .



 top 5  mobile friendly test tools jisse aap chek kar sakte hai ki aapka site mobile ke liye optimised hai ya nahi


to ye kuch website cheking tools ke bare me bata raha hu jisse apne site ki optimization test kar sakte hai.



1.google mobile friendly test tools


google mobile friendly test tools

google mobile friendly test tools ek google ki service hai jisme apne website ko chek kar sakte hai hamara jo website hai wo mobile me kaisa dikhta hai


 sabse pahle aap google mobile friendly test tools ke option par clik kare.uske bad aapne website ka url yani link dale www ke sath.


ab right side me "analyze" button par clik kare.aap jaise hi analyse button par clik karenge aapke website testing suru ho jayegi .

puri prosses complete hone ke bad aapke screen par ek message aayega jisme aapko ye bataya jayega ki aapka website mobile friendly hai ya nahi.





agar aapka site mobile friendly hoga to kuch is trah ka green colour ka message hoga "Awesome! This page is mobile-friendly.  " agar aapka site friendly nahi hoga to red colour ka message ayega"not mobile friendly ka".

agar aapka website is test tool me pass nahi hoga to aapko ye bhi bataya jayega ki aapka website me kaya problem hai .



 2.keynote mite tools


keynote mites tools

ye ek aisa desktop tools hai jisse aapke site bahut sare mobile devices par kis trah se khulte hai.

is tools ko use karne ke liye aapko pahle registration karna hoga jo ki bilkul free hai.

sabse pahle aap keynote ki site par jakar "get sterted "par clik kare.uske bad ek new page me "create account"par click kareaur apna details bhare.


3.w3c's Mobile ok checker

w3c mobile ok chekar.

W3C's mobile ok checker ek aur mobile friendly test tools hai jise aap pane website ke sare cheez ko chek kar sakte hai.

ye aapke website ke html code ko chek karke batata hai ki aapke url me kya problem hai image me kya problem hai sare problem ko find karne ke bad aapko ye batayega ki isme kya change karne par aapki problem solve ho jayegi.



sabse pahle aap W3C's mobile checker site par jaye waha par apne website ki url dalkar "check" button par clik kare uske bad result aapke samne hoga.

4.Google page speed insights

google page speed insight test tools


google page speed insight ek google ki service hai jo  aapki website ko ye chek karega ki apake website mobile friendly hai ya nahi.

sabse pahle aap page speed insights ki website par jaye aur apna site ka URL inter kare  uske bad analyze ki button par clik kare.

clik karte hi aapake site ke bare me aise bahut sare information blog se related show honge. aapka blog  ka ek screenshot show honge ki apaka website mobile par kaisa dikhai dega.



ye aapke site ka speed score bhi show karega aurisme kaya problem hai aur kaise us problem ki fix karte hai.

5.Browser stack test tools


browser stack test tools

browser stacks aaapke website ki achhi screen shots degi jisse aapki website alag alag device par kaisa dikhai dega.kahne ka matlab alag alg mobile par kaisa dikhayi dega.


browser stacks ek paid service hai kahne ka matlab hai ki ise use karne ke liye aapko paisa pay karna hoga.

to dosto ye thi meri aaj ka artical jisme maine bataya hai top 5 tools ke bare me jise aap apne website ko chek kar sakte hai ki aapki website ya blog mobile friendly ya mobile ke hisab se optimized hai ya nahi 

aapko mera ye post kaisa laga aap hamare comment box me comment karke jaroor bataye .agar ye post accha laga to is post ko share karna na bhoole.agar kuch puchana hai to comment box me puch sakte hai.


apko ye post  bhi padhni chahiye:-

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :