hello blogger aaj mai aapko is articl me bataunga ki long tail keyword kya hai aur ise ham apne blogger me kaise add kare seo ke liya.
dosto agar aapke pas koi web page ya website hai to aapka main maksad yahi hota hai ki kaise hamare site par lakho ki sankhya me visitor aaye uske liye aap aise bahut sare seo technique aur tools ka use karte hai.
longtail keyword bhi ek seo ka hi hissa hai jiska use karke ham apne website ki search traffic ko badha sakte hai .
keyword ka matlab hota hai waisa word jo search engine me search hota hai .jaise hamne search engine me "seo tools" search kiya to ye bhi ek keyword huya.
to seo ka matlab hi hota hai apne website ya webpage ko search engine ke hisab se apne content ko optimize karna .to ye optimization keyword researc se hi suru hoti hai.aise bahut sare longtails keyword research tools jise aap long tail keyword research kar sakte hai.
long tail keyword kya hai aur ise blogger post me kaise use kare.
sabse pahle ham jante hai ki ye longtail keyword kya hai .jaisa ki maine aapse bataya hai ki keyword ek aisa word hota hai jo google me search hota hai ise search term bhi kahte hai.
long tail keyword generally three ya four word ka hota hai jabki short tail keyword one ya two word ka hota hai.aayiye ek example se samajhte hai.
man lo aap koi post likh rahe jo keyword ke bare me hai yani keyword ke bare me bata rahe hai to ham google adword kyword planner me search karenge "keyword" hamne enter kiya keyword aur get idea par clik kiya to hamare samne kubh result show hota hai jaisa niche diya gaya hai. to yaha par maine kewal ek word search kiya hai to ye short tail keyword hua ab ham aage badhte hai.
agar ham planner me search karte hai" keyword research tools" to yaha par hamne three word search kiya hai .yani ki jo hamne google ya planner me search kiya hai usme three word hai to ye long tail keyword hua.
longtail keyword use karne ka kya fayada hai.
long tail search term use karne ka sabse bada fayada ye hai ki ye google me bahut jayada search nahi kiya jata hai isse aapne post content me use karke apne site well optimize kar sakte hai.
aayiye ek example se samjhte hai maine google keyword planner me search kiya hai keyword to aap screen shot me dekh sakte hai ki monthly "keyword " ko log 100K se 1M tak search karte hai to is word ko target karke ham agar post likhenge to hamari site sayad hi search ke result me show ho jaye. yani ki agar apni site ko agar is keyword se target karte hai to ise aapki site search engine me aane ke kam chance hai.
ab ham long tail keyword ko dekhete hai.maine search kiya hai "keyword research tools" to ham pate hai ki is keyword ko log bahut hi kam search karte hai short tail keyword ke mukable.
yani keyword resurch tools log kam search karte hai upar hamare screen shot me dekh sakrte hai ki iska monthly search 1k se 10 k hai yani agar ham apne post content ko is keyword se target kar post likenge to hamare site google ke search result me shoew hone ke chances jayada hai.
to ab aapko clear ho gaya hoga ki long tail keyword ko apne post me use karne ka kya fayada hai.
longtail keyword kaise use kare post me.
long tail keyword ko apne post me use karne ka aise bahut sare place jaha par use karke apne site ki search ranking increase kar sakte hai.to aayiye ise kaise post me add kar sakte hai.
1.title tag me me use kare.
apne post ke title tag me keyword ko use karne ka sabse accha tarika hai kyuki jab search engine ka robot hamare website par aata hai to hamare post ke title tag ko hi dekhta hai .
post title ke suru me hi apne target keyword ko use kare kyuki suru ke word ko search engine jayada value deta hai.
title tag aisa hona chahiye jisse dekh kar samajh me aa jaye ki is post ke andar kya hoga jis trah se ham newspaper ke headline ko dekh kar samajh jate hai ki ye kis bare me hai thik usi trah se post ki title tag likhe .
2.first paragraph aur last paragraph me.
first paragraph and last paragraph me use kar sakte hai longtail keyword ko use kar sakte hai search engine hamare pirdt paragraph aur last paragraph ko bhi dekhta hai
3.search description me.
search description me bhi apne long tail keyword ko aur usse related keyword ko use kare .search description ek meta description hota jo hamare post ke bare me ek short information hota hai.
agar aap google me kuch search karte hai to search result me ek post ka title ,description hi search me aata hai.
to is option ko bahut jaroori hai aur apne target keyword ko lekar description likhe jo 160 word me ho.
4.permalink me use kare.
permalik me long tail keyword ko use karna bahut jaroori hota hai .perma lin hamare post ka url hota hai. search engine hamate post ke url ko jayada value deta hi kyuki jab aap search karte hai google me to result me url bhi show hote hai.
agar apne permalink me keyword ko use karenge to aapka post search engine me jaldi show honge . aur aapki search ranking bhi improve hogi.
image ke alt tag me use kare.
5.image me use kare.
aap pane post me jo image use karte hai usme bhi apne longtail keyword ko use kar sakte hai.
sabse pahle papne image ke name ko rename kare aur us name me apne keyword ko use kare uske bad .apne post me upload kare.
image ko upload karne ke bad post editor me image par clik kare uske bad property option par clik kare aur uske bad alt text aur title text me use kare.
aapko hamara ye post long tail keyword kya hai aur ise kaise apne post me add karte hai seo ke liya kaisa laga hame jaroor bataye.
ye post padhe:---
2 comments
Write commentsUsing EasyHits4U you can earn free advertising credits by visiting other website-ads from a member base of over 1.2 million accounts. Earn advertising credits faster with a view for view model.
ReplyLongtail.Keywords Kya Hai .Bohut Badiya JAnkari Di Aapne SeeKhoWeb Ka Bhi Longtail Badiya Hai Kuch Naya Seekhe
Reply