dosto aaj mai fir se hajir hu ek nayi aartical lekar jise mai bataunga ki apne website ke liye free back link kaise banaye.
dosto hamare website par visitor bahut mayenae rakhta hai agar aapke site par visitor nahi aate hai to aapko bahut hi nirasha hoti hai.
aap lakh side post likh le ache content dal de apne site par agar visitor nahi hai to wo content kisi kam ka nahi hai.
dosto vidsitor lane ke liye bahut sare tools and technique use karte hai taki site par visitor aaye.usme se backlink bhi usi ka hissa hai .hamare site ke liye backlink bahut hi jaroori hai .back link search engine ke liye bhi jaroori hai back link banane se hamare site ke liye link juice milta hai.
Free back link kaise banaye website seo ke liye
free back link banane se pahle ham jan lete hai ki back link hota kya hai? kyuki jab aapko back link ke bare me malum hi nahi hoga to aap back link banayenge kaise?
dosto back link ek aisa incoming link hota hai jiske sahare search engine ka robot ya visitor hamare website par visit karta hai.aayeye niche example se samajhte hai .aur dekhte hai kaise free back link banate hai site ke liye.
1.Blog commenting karke backlink banaye.
blog comenting ek bahut hi badhiya tarika hai apne blog ya website k backlink banane ka.
blog commenting ka matlab hota hai kisi dusre ke blog par comment karke .agar aap kisi bhi blog par visit karte hai to , to aap jis post ko padhte hai waha par comment karne na bhoole.
blog commenting ka matlab hota hai kisi dusre ke blog par comment karke .agar aap kisi bhi blog par visit karte hai to , to aap jis post ko padhte hai waha par comment karne na bhoole.
jab aap kisi dusre blog par comment karenge to aapke site ka link usme add ho jata hai ye search engine ke liye bahut jaroori hai,aur isss trah se aapke site ka back link banega .jiske sahare log aapke blog par bhi visit kar sakte hai.
2.socail media par share karke.
social media par share karke bhi aapne apne site ka free back-link bana sakte hai.
dosto socail media ke bare me aapko batane ki jaroorat nahi aapko to pata hi hoga log daily lakho log socail media yani facebook, twitter, linkdein par visit karte hai aagar aap apne website ka link insab site par share karenge to aapka blog lakho logo tak pahuchega jisse aapke site ka visitor increase hoga.
aap apne site ke name se ek page banaye ya fir facebook group bhi bana ke share kar sakte hai.
3.web directory me website ko add kare.
web directory me apne site ko submitt karke bhi aapne site ka free back link bana sakte hai.
aise bahut sare web directory hai jaha par aapne website ke url ko add kar sakte hai maine kuch top 10 wedirectory ki list maine share ki hai.
jab apne website ko directory me add karenge to bahut sare back link mil jayenge aur aapke site ka search ranking bhi badh jayegi.
4.website ka video share kare.
website ka video share karke bhi apne site ka back link bana sakte hai.
sabse pahle aapne site ka ek short video introduction banaye jisme aapke website ke bare me full detail ho us short introduction me aapne website ka link bhi add kare.
ab us video ko socail media ya video sharing site jaise youtube ,ya fir dailymotion jaise site par share kare .
5.guest posting.
guest posting ek bahut hi badhiya tarika hai aapne site ka free backlink banane ka .guest posting ka matlab hota hai kisi aise blog ya website par content likhkar publish karna jiski search rankih high ho search engine me.aap uske liya ek bahut hi achhi si post likhe , aur ek aise website ko select kare jiski search rankinh high ho aur jise monthly visitor bhi jayada ho .us website ke admin se bat karke apne post ko publish karne ke liye request kare.aur ek baht aur jo post aap likh rahe ho usme apne site ka link ,aur apne kuch post ka link add karne na bhoole .
jab visitor us website par aayenge aur agar aapka likha hua content accha lagega to aapke site par visit kar sakta hai.
to aap jan gaye honge ki kaise ham aapne site ka free backlink bana sakte hai.agar aapko hamare ye post accha laga to comment karke apni feed back jaroor de...
ye post bhi padhe:--
4 comments
Write commentssir mere site ka backlink Alexa me dikhta nahi hai.
Replymere blog par kitna backlink hai. kaise malum kare?
Replyjust want us to be better/further along and my frustration really came through that day.thank you.
Replygclub
gclub casino
gclub
Submit your blog or website now for indexing in Google and 300+ search engines!
ReplyOver 200,000 sites submitted!
Submit RIGHT NOW using I Need Hits!