last modified: Thursday 24 November 2016

free hindi support

Affiliate marketing kya hai aur ye kaise kam karta hai full guide hindi me.

Affiliated marketing kya hai aur kaise kam karta hai




hello dosto aagar  aap ek blogger hai ya fir ap online paisa kamana chahte hai to ye post aapke liye bahut hi helpful hai maine is artical me bataya hai ki afiliate marketing kya hai aur ye kaise kam karta hai.aap is technique ko use karke aap bhi aapne website ke through acchi income generate kar sakte hai.


dosto aapne dekha hoga ki aaj kal sabhi saman online purchase kiya ja raha hai aur aise bahut sari company hai jo online aapne saman ko sale karti  hai .to usme hamari bhumika yani publisher ki bhumika ek sales man ki trah hoti hai.



dosto internet par jitne bhi blog owner hai ya website owner hai uski sabse main income ka source hota hai adsense ads aur  affiliate marketing bahut sare blogger to aise hai jo kewal affiliated marketing ko hi use karte hai iska sabse bara reason hai ki affiliated marketing se aap unlimited earning kar sakte hai kyuki ye commission base par kam karta hai.aap chahe to uske sath adsense ads bhi use kar sakte hai.


waise to aap google par search karenge to aapko bahut sare affiliated company mil jayegi jo affiliate marketing allow karta hai for example flipkart ,amazon ,.


Affiliate marketing kya hai ye kaise kam karta hai.

affiliated marketing prosses

affiliated marketing ek trah ka commission base marketing hai  jisme publisher yani website ya blog ke malik ko kisi khas trah ke product  yani jo bhi aap product ko aap sale karna chahte hai us product ka link ya banner banakar aapne site par lagana hota hai aur jab is banner ke link ke through koi purchase karta hai yani kharidata hai to jitna us product ka price hota hai uske hisab se commission milta hai.

aise bahut sare company hai jo affilliate marketing allow karta hai . bas isme aapko signup karna hai matlab account banana hai aur . jab aap account bana lenge to waha se aap chahe to kisi bhi product ka link bana kar aaapne website ya blog ke page me ya sidebar me aapko wo product ka link add karna hai.

affiliated marketing ka sabse bari fayada ye hai ki agar aapke pas koi blog ya website nahi bhi hai to aap socails media yani facebook ,twitter, jaise site par bhi affiliate marketing ka link share karke paisa kama sakte hai .aap simple product ka link facebook par share kare agar us link ke through koi purchase karta hi  to aapki commission banegi.
affiliate markating.png

kisi site par affiliated marketing  website par account banane ke liye aapko ek email id ki jaroorat paregi bas aap us website par jayee aur usme signup kare.aap ek email id se jitne chahe affiliate proggrame use kar sakte hai lekin mai kahunga ki  ek hi affiliate programme par focus kare.

aapka jitna bhi earning hogi wo paisa aapke affiliate account me add hota jayega aur jab aapke account me 100$ ho jayenge to wo site aapke account me paise bhej deta hai .
aapke man me ye sawal aaraha hoga ki jab ham koi product sale karte hai to us site ko kaise pata ki hamre link se ye product becha gaya to dosto mai aapko ye bata du ki jo aapke paroduct ka link hota hai yani code hota hai usme aapke account ka code bhi hota hai jis trah se ek sales man ka code hota hai thik usi trah aapke account ka id bhi us code me add hota hai.



to aap jan gaye honge ki affiliate marketing kya hai aur ye kaise kam karta hai. agar apko ye post accha laga ho to is post ko share karna na bhoole .aapka koi sawal hai to comment box me puch sakte hai.
ye post padhe:--


free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :

1 comments:

Write comments
Blogger
AUTHOR
8 December 2016 at 15:01 delete This comment has been removed by a blog administrator.
avatar