last modified: Thursday, 27 October 2016

free hindi support

Google se Online paisa kaise kamaye uski puri jankari hindi me

hello dosto ham is artical me janenge ki google se online paisa kaise kamate hai.google ke bare me to aap jante hi honge ki ye kya hai.agar aapko kuch bhi search karna hota hai to aap google me search karte hai par kya aapko pata hai ki ham google se money bhi earn kar sakte hai.

aapbhi ye chahte honge ki ham internet se ya google se paisa kamaye.lakho log lakho kama bhi rahe hai kyuki aaj kal har koi chahata hai ki ham adhik se adhik paisa kamaye .internet ko to aap jante hi hai ki ye pure world me iska jal bichha hua hai kahne ka matlab ye hai ki internet se aap din duna rat chaugna paise kama sakte hai.
google se online paisa kaise kamaye

agar aap koi job karte hai to aapke upar ek boss hoga jo aapko order dene wala hoga magar isme koi order dene wala nahi hoga matlab apna boss aap khud honge.job me aapko kam se kam 8 hours time continue dena hoga magar isme time ka koi pabandi nahi hai.


google  se online paisa  kaise kamaye.

google se online paisa kamane ke liye aapke pas ek google adsense account hona chahiye.ab aap ye soch rahe honge ki ye adsense account kya hota hai.

to dosto adsense, google ki  ads network website hai.jo jaha par ham account bana kar paise kama sakte hai.


adsense ek ads network website hai jispar account banae ke bad google adsense hame ads ke code provide karta hai .us ads ke code ko apne website ya yourtbe chhanel par lagate hai jisse hamari earning hoti hai.ye earning hamare bank account me transfer hoti hai.

google adsense se paisa kamate hai


google se jo ham online paisa kamate hai  wo ham adsense se kamate hai jo ki google ki service hai.

google adsense se ham jo paisa kamate hai wo doller me hoti hai jo hamare adsense account me add hote jata hai aur jab hamare google adsense account me 100$ ho jate hai to google hamare bank account me paise bhej deti hai.

Google par website banaye.


google se online paisa kamane ke liye aapke pas ek website ya blog jaroori hota hai kyuki jab google adsense hame jo ads ke code deta hai use ham apni website me hi lagate hai.

wesite banane ke liye aapko blogger.com par jaye ye bhi ek google ki service aur ye bilkul free hai.

blogger.com par jane ke bad apne gmail id se login kare aur create new blog par clik kare.aur waha par apne intrest se related yani jis topic me aapko jayada knowledge hai uspar five ya six post publish kar de.

youtube chhanel banaye online paisa kamane ke liye


agar aap website nahi banana chahte hai to aap apne liye ek youtube chhanel bhi bana kar googole adsense se online paisa kama sakte hai.

youtube ke bare me to aapko pata hi hoga ispe ham vide ko dekh sakte hai aur uspe video upload karke paisa bhi kama sakte hai.

to sabse pahle aap youtube chhanel banaye aur uspar apne banaye huye video upload kare .video upload karne ke bad jab aapke channel par 3000 view ho jaye to video ko menotize kar de.aur uske bad adsense se connect kar de.

adsense se connect karne ke bad video par ads show hone lagenge aur aapki earning hone lagegi.

to ye meri artical  google se online paisa kaise kamaye aapko kaisi lagi aap hame jaroor bataye .

agar aapke koi sawal ho to hamare comment box me puchh sakte hai.

ye post padhe:----

free hindi support

About free hindi support

Hello mera name SATYENDRA KUMAR hai mai hi FREE HINDI SUPPORT website ka founder hu.ye ek informational website hai is website par mai BLOGGING,MAKE MONEY,SEO ,SOCAIL MEDIA se related ya INTERNET se related sari jankari uplabdh hai wo bhi HINDI me.aap INTERNET se related koi bhi sawal puch sakte hai.AGAR AAP APNE EMAIL KE INBOX ME MERE WEBSITE SE UPDATE PANA CHAHTE HAI TO HAMARE WEBSITE KO SUBSCRIBE KARNA NA BHOOLE .NICHE DIYE HUYE BOX ME EMAIL ID DALE

APNA EMAIL ID INTER KARE APNE INBOX ME DAILY UPDATE PANE KE LIYE :