facebook par account kaise banaye .ji han dosto mai is aartical me yahi batane ja raha hu .facebook ek social network website hai jispar ham account banakar ham apne dosto aur relative se
connected rah sakte hai chahe wo duniya ke kisi bhi hisse me rahte ho .facebook world ki sabse popular socail networking website hai puri duniya me daily hajaro new facebook account open ho rahe hai facebook account ko ham facebook id bhi kahte hai .niche hamne bataya hai ki kaise facebook par account banate hai
facebook par account kaise banate hai step by step
Step:1--
waha jane ke bad sign up ki button par clik kare.click karte hi ek naya page khulega .
new page me ek form khulega jisko aap pura bhare .bharne ke bad create account ki button par clik kare.
- apna first name aur last name dale.
- apna mobile number aur email adress enter aap koi bhi chun sakte hai.matlab aap kisi bhi tarike se verify kar sakte hai.
- aap apna dubara email address dale
- ab aap apna password enter kare .apna password thora complicated rakhe.
- ab apna birth date enter kare.(aapka age 14 years se upar hona chahiye).
- ab aap apna gender select kare.yani male ya female.
- last me create an account par clik kare
step:3-
create an account par click karte hi ek new page khulega jisme aapko friend find karne ke liye kahega .to aap abhi naye hai facebook par isiliye "next " par clik kare.
step#4-
age aapko apna profile picture upload karne ke liye kahega.profile picture aapke account ka photo hoga jisse log aapko janenge.aur aapka profile picture hi dikhai dega.
profile photo ko upload karne ke liye
>>>add picture par clik kare
>>>ad picture par click karte hi aap aapne computer ke file me pahuch jayenge
>>>ab apna photo select kare ya koi bhi photo select kar sakte hai.
>>>image select karne ke bad open button par click kare.
>>>open button par click karte hi ek new page khulega usme aap Next ki button par clik kare.
Facebook email id confirm kare
iss step me aapko apna email id jo aapne dala tha upar ke step me wo confirm karna hai to uske liye aapko apne email account chek karewaha par ek email aaya hoga facebook se usme ek link hoga confirm karne ka.
>>>apne email account me jjaye.>>>facebook se aaye email ko open kare.
>>>confirm your account par click kare.
to ligiye aapka facebook id yani facebook account bankar taiyar hai .online apne sense ko share karne ke liye.aapko ye post kaisi lagi aap hamare comment box me jaroor bataye .